Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazar rang ye wahshat qadam qadam pe khuli

Salman Sarwat

hazar rang ye wahshat qadam qadam pe khuli

Salman Sarwat

MORE BYSalman Sarwat

    hazār rañg ye vahshat qadam qadam pe khulī

    ki zindagī haqīqat qadam qadam pe khulī

    mire vajūd uqda kabhī bhī khul na sakā

    mire ḳhayāl vus.at qadam qadam pe khulī

    sirāt-e-jāñ pe hamesha safar talab rahe

    masāfatoñ se aqīdat qadam qadam pe khulī

    vafā raah meñ chup-chāp chalte rahne se

    gurez-kosh mohabbat qadam qadam pe khulī

    dayār-e-ishq meñ ham par karam kuchh aise huā

    visāl-e-ġham suhūlat qadam qadam pe khulī

    vo ek lafz ki jis par badal gayā lahja

    us ek lafz shiddat qadam qadam pe khulī

    tamām-umr sarāboñ justujū meñ kaTī

    kabhī na thī jo zarūrat qadam qadam pe khulī

    hazar rang ye wahshat qadam qadam pe khuli

    ki zindagi ki haqiqat qadam qadam pe khuli

    mere wajud ka uqda kabhi bhi khul na saka

    mere KHayal ki wusat qadam qadam pe khuli

    siraat-e-jaan pe hamesha safar talab hi rahe

    masafaton se aqidat qadam qadam pe khuli

    wafa ki rah mein chup-chap chalte rahne se

    gurez-kosh mohabbat qadam qadam pe khuli

    dayar-e-ishq mein hum par karam kuchh aise hua

    visal-e-gham ki suhulat qadam qadam pe khuli

    wo ek lafz ki jis par badal gaya lahja

    us ek lafz ki shiddat qadam qadam pe khuli

    tamam-umr sarabon ki justuju mein kaTi

    kabhi na thi jo zarurat qadam qadam pe khuli

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now