hazaron manzilen phir bhi meri manzil hai tu hi tu
hazaron manzilen phir bhi meri manzil hai tu hi tu
Ameeta Parsuram Meeta
MORE BYAmeeta Parsuram Meeta
hazāroñ manzileñ phir bhī mirī manzil hai tū hī tū
mohabbat ke safar kā āḳhirī hāsil hai tū hī tū
balā se kitne hī tūfāñ uThe bahr-e-mohabbat meñ
har ik dhaḌkan ye kahtī hai mirā sāhil hai tū hī tū
mujhe ma.alūm hai anjām kyā hogā mohabbat kā
masīhā tū hī tū hai aur mirā qātil hai tū hī tū
kiyā ifshā mohabbat ko mirī bebāk nazroñ ne
zamāne ko ḳhabar hai mujh se bas ġhāfil hai tū hī tū
tire baḳhshe hue rañgoñ se hai pur-nūr har manzar
yaqīnan bahr o bar kī ruuh meñ shāmil hai tū hī tū
tujhī se guftugū har dam tirī hī justujū har dam
mirī āsāniyāñ tujh se mirī mushkil hai tū hī tū
jidhar jā.ūñ jidhar dekhūñ tire qisse tirī bāteñ
sar-e-mahfil hai tū hī tū pas-e-mahmil hai tū hī tū
hazaron manzilen phir bhi meri manzil hai tu hi tu
mohabbat ke safar ka aaKHiri hasil hai tu hi tu
bala se kitne hi tufan uThe bahr-e-mohabbat mein
har ek dhaDkan ye kahti hai mera sahil hai tu hi tu
mujhe malum hai anjam kya hoga mohabbat ka
masiha tu hi tu hai aur mera qatil hai tu hi tu
kiya ifsha mohabbat ko meri bebak nazron ne
zamane ko KHabar hai mujh se bas ghafil hai tu hi tu
tere baKHshe hue rangon se hai pur-nur har manzar
yaqinan bahr o bar ki ruh mein shamil hai tu hi tu
tujhi se guftugu har dam teri hi justuju har dam
meri aasaniyan tujh se meri mushkil hai tu hi tu
jidhar jaun jidhar dekhun tere qisse teri baaten
sar-e-mahfil hai tu hi tu pas-e-mahmil hai tu hi tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.