Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijab-e-jism-o-jaan mein husn-e-pinhan dekh lete hain

Afqar Mohani

hijab-e-jism-o-jaan mein husn-e-pinhan dekh lete hain

Afqar Mohani

MORE BYAfqar Mohani

    hijāb-e-jism-o-jāñ meñ husn-e-pinhāñ dekh lete haiñ

    nazar vaale tumheñ tā-had-e-imkāñ dekh lete haiñ

    asīr-e-zulf ho kar rū-e-jānāñ dekh lete haiñ

    savād-e-kufr meñ bhī nūr-e-īmāñ dekh lete haiñ

    zamāna merā hāsil hai maiñ hāsil huuñ zamāne

    jo ahl-e-bazm haiñ mahfil sāmāñ dekh lete haiñ

    hamāre Dūbne vāqi.a jab yaad aatā hai

    jo sāhil par bhī haiñ sāhil dāmāñ dekh lete haiñ

    dil is par aarzū āsūda ho jaatā hai duniyā se

    kabhī gar manzar-e-gor-e-ġharībāñ dekh lete haiñ

    guzarte haiñ janāb-e-shaiḳh jab mai-ḳhāna se ho kar

    nahīñ kahte zabāñ se kuchh magar haañ dekh lete haiñ

    tirā jalva go dair-o-haram donoñ meñ hai lekin

    jo ahl-e-dil haiñ farq-e-kufr-o-īmāñ dekh lete haiñ

    zamīñ se āsmāñ se go kahīñ bijlī gire lekin

    asīrān-e-qafas sū-e-gulsitāñ dekh lete haiñ

    pahuñch jaate haiñ ham 'afqar' vahāñ zauq-e-tabī.at se

    jo shāyān-e-adab bazm-e-suḳhan-dāñ dekh lete haiñ

    hijab-e-jism-o-jaan mein husn-e-pinhan dekh lete hain

    nazar wale tumhein ta-had-e-imkan dekh lete hain

    asir-e-zulf ho kar ru-e-jaanan dekh lete hain

    sawad-e-kufr mein bhi nur-e-iman dekh lete hain

    zamana mera hasil hai main hasil hun zamane ka

    jo ahl-e-bazm hain mahfil ka saman dekh lete hain

    hamare Dubne ka waqia jab yaad aata hai

    jo sahil par bhi hain sahil ka daman dekh lete hain

    dil is par aarzu aasuda ho jata hai duniya se

    kabhi gar manzar-e-gor-e-ghariban dekh lete hain

    guzarte hain janab-e-shaiKH jab mai-KHana se ho kar

    nahin kahte zaban se kuchh magar han dekh lete hain

    tera hi jalwa go dair-o-haram donon mein hai lekin

    jo ahl-e-dil hain farq-e-kufr-o-iman dekh lete hain

    zamin se aasman se go kahin bijli gire lekin

    asiran-e-qafas su-e-gulsitan dekh lete hain

    pahunch jate hain hum 'afqar' wahan zauq-e-tabiat se

    jo shayan-e-adab bazm-e-suKHan-dan dekh lete hain

    Source:

    Nazargah (Pg. 109)

    • Author: Afqar Mohani
      • Publisher: Siddique Book Depot, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now