Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr hijrat se siwa ho gaya ghar aate hi

Liyaqat Ali Aasim

hijr hijrat se siwa ho gaya ghar aate hi

Liyaqat Ali Aasim

MORE BYLiyaqat Ali Aasim

    hijr hijrat se sivā ho gayā ghar aate

    maiñ to ḳhud se bhī judā ho gayā ghar aate

    aise so.e haiñ ki martā bhī na hogā koī

    jāgte rahnā balā ho gayā ghar aate

    maiñ gunahgār-e-safar thā mujhe kyā niiñd aatī

    maiñ to masrūf-e-duā ho gayā ghar aate

    maiñ ne sochā thā ki ghar ke manā lūñgā use

    dil to kuchh aur ḳhafā ho gayā ghar aate

    ek dastak baḌā qarz thā mujh par 'āsim'

    aur vo qarz adā ho gayā ghar aate

    hijr hijrat se siwa ho gaya ghar aate hi

    main to KHud se bhi juda ho gaya ghar aate hi

    aise soe hain ki marta bhi na hoga koi

    jagte rahna bala ho gaya ghar aate hi

    main gunahgar-e-safar tha mujhe kya nind aati

    main to masruf-e-dua ho gaya ghar aate hi

    main ne socha tha ki ghar ja ke mana lunga use

    dil to kuchh aur KHafa ho gaya ghar aate hi

    ek dastak ka baDa qarz tha mujh par 'asim'

    aur wo qarz ada ho gaya ghar aate hi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now