Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr ka qissa bahut lamba nahin bas raat bhar hai

Shamim Hanafi

hijr ka qissa bahut lamba nahin bas raat bhar hai

Shamim Hanafi

MORE BYShamim Hanafi

    hijr qissa bahut lambā nahīñ bas raat bhar hai

    ek sannāTā magar chhāyā huā ehsās par hai

    ik samundar be-hisī ek kashtī aarzū

    haa.e kitnī muḳhtasar logoñ rūdād-e-safar hai

    maiñ azal se chal rahā huuñ thak gayā huuñ sochtā huuñ

    kyā tirī duniyā meñ har manzil nishān-e-rahguzar hai

    is fasīl-e-ġham ko sar karne pe bhī kyā mil sakegā

    ek dīvār-e-havā hai ek terā sañg-e-dar hai

    Dūbne vaale sitāre ko bhalā kab tak pukāre

    zindagī raat ko sūraj ke hañs dene Dar hai

    dekh le mujh ko abhī kuchh raushnī baaqī hai mujh meñ

    shaam tak ik ret tūfān aane ḳhabar hai

    hijr ka qissa bahut lamba nahin bas raat bhar hai

    ek sannaTa magar chhaya hua ehsas par hai

    ek samundar be-hisi ka ek kashti aarzu ki

    hae kitni muKHtasar logon ki rudad-e-safar hai

    main azal se chal raha hun thak gaya hun sochta hun

    kya teri duniya mein har manzil nishan-e-rahguzar hai

    is fasil-e-gham ko sar karne pe bhi kya mil sakega

    ek diwar-e-hawa hai ek tera sang-e-dar hai

    Dubne wale sitare ko bhala kab tak pukare

    zindagi ki raat ko suraj ke hans dene ka Dar hai

    dekh le mujh ko abhi kuchh raushni baqi hai mujh mein

    sham tak ek ret ka tufan aane ki KHabar hai

    Source:

    Range-e-Gazal (Pg. 558)

    • Author: shahzaad ahmad
      • Edition: 1988
      • Publisher: Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now