hijr ki rah kisi ke liye aasan nahin
hijr kī raah kisī ke liye āsān nahīñ
man' kartā huuñ to ho jaayā karo jaan nahīñ
ab maiñ chup-chāp yahī dekh rahā hotā huuñ
kaun is bazm meñ kis baat pe hairān nahīñ
us ko chhoḌā hai bahut soch samajh kar maiñ ne
so pareshān to rahtā huuñ pashemān nahīñ
shāyad achchhā hī kiyā an-sunī kar ke us ne
baat saada to bahut thī magar āsān nahīñ
kaam to aur bhī karne ko bahut haiñ lekin
she'r-goī ke 'alāva mire shāyān nahīñ
āḳhirī din haiñ mahīne ke tujhe kyā mā'lūm
tū samajhtā hai ki ik terī taraf dhyān nahīñ
ham yahāñ aur hī kuchh soch ke aa.e the magar
is ḳharābe meñ zarūrat kā bhī sāmān nahīñ
shai to achchhī hai miyāna-ravī lekin 'javvād'
us meñ kyā naf' hai jis meñ koī nuqsān nahīñ
hijr ki rah kisi ke liye aasan nahin
man' karta hun to ho jaya karo jaan nahin
ab main chup-chap yahi dekh raha hota hun
kaun is bazm mein kis baat pe hairan nahin
us ko chhoDa hai bahut soch samajh kar main ne
so pareshan to rahta hun pasheman nahin
shayad achchha hi kiya an-suni kar ke us ne
baat sada to bahut thi magar aasan nahin
kaam to aur bhi karne ko bahut hain lekin
she'r-goi ke 'alawa mere shayan nahin
aaKHiri din hain mahine ke tujhe kya ma'lum
tu samajhta hai ki ek teri taraf dhyan nahin
hum yahan aur hi kuchh soch ke aae the magar
is KHarabe mein zarurat ka bhi saman nahin
shai to achchhi hai miyana-rawi lekin 'jawwad'
us mein kya naf' hai jis mein koi nuqsan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.