hijr mein wasl ka imkan bhi aa jata hai
hijr meñ vasl kā imkān bhī aa jaatā hai
habs baḌh jaa.e to tūfān bhī aa jaatā hai
tū paristān kā raahī hai to phir hausla rakh
raah meñ ḳhitta-e-vīrān bhī aa jaatā hai
shahr-e-imkān meñ hotī hai sajāvaT dil kī
aur darvāze pe mehmān bhī aa jaatā hai
'ālam-e-‘ijz ki miTTī ko bichhaunā samjhā
chāheñ to taḳht-e-sulaimān bhī aa jaatā hai
ḳhvāhish-e-zīst nahīñ hotī agar hone lage
saath hī maut kā farmān bhī aa jaatā hai
'shā.eq' aatā hai mire paas agar hañste hue
phir barābar meñ pareshān bhī aa jaatā hai
hijr mein wasl ka imkan bhi aa jata hai
habs baDh jae to tufan bhi aa jata hai
tu paristan ka rahi hai to phir hausla rakh
rah mein KHitta-e-viran bhi aa jata hai
shahr-e-imkan mein hoti hai sajawaT dil ki
aur darwaze pe mehman bhi aa jata hai
'alam-e-‘ijz ki miTTi ko bichhauna samjha
chahen to taKHt-e-sulaiman bhi aa jata hai
KHwahish-e-zist nahin hoti agar hone lage
sath hi maut ka farman bhi aa jata hai
'shaeq' aata hai mere pas agar hanste hue
phir barabar mein pareshan bhi aa jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.