Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr se baat ki visal ke baad

Anisur Rahman

hijr se baat ki visal ke baad

Anisur Rahman

MORE BYAnisur Rahman

    hijr se baat visāl ke baa'd

    ab ke aanā to māh-o-sāl ke baa'd

    jaise aayā thā maazī haal ke baa'd

    kyā junūb aa.egā shumāl ke baa'd

    baat se baat chaltī rahtī hai

    ḳhatm ho jaatī hai misāl ke baa'd

    ik ḳhamoshī hisār mānind

    pahle aur āḳhirī savāl ke baad

    ek sail-e-malāl har jānib

    ik malāl aur ik malāl ke baa'd

    ik ḳhamoshī ravāñ-davāñ har-sū

    kyā ḳhamoshī hai qīl-o-qāl ke baa'd

    us sūrat-garī meñ roz-o-shab

    ḳhvāb ham dekhte ḳhayāl ke baa'd

    dast-o-bāzū meñ āsmān-o-zamīñ

    aur kyā faal nek-fāl ke baa'd

    marg ik māñdgī vaqfa hai

    zindagī ye to ehtimāl ke baa'd

    hijr se baat ki visal ke ba'd

    ab ke aana to mah-o-sal ke ba'd

    jaise aaya tha mazi haal ke ba'd

    kya junub aaega shumal ke ba'd

    baat se baat chalti rahti hai

    KHatm ho jati hai misal ke ba'd

    ek KHamoshi hisar ki manind

    pahle aur aaKHiri sawal ke baad

    ek sail-e-malal har jaanib

    ek malal aur ek malal ke ba'd

    ek KHamoshi rawan-dawan har-su

    kya KHamoshi hai qil-o-qal ke ba'd

    us ki surat-gari mein roz-o-shab

    KHwab hum dekhte KHayal ke ba'd

    dast-o-bazu mein aasman-o-zamin

    aur kya fal nek-fal ke ba'd

    marg ek mandgi ka waqfa hai

    zindagi ye to ehtimal ke ba'd

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now