Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr taqdir nahin wasl ka wada bhi nahin

Ananya Rai Parashar

hijr taqdir nahin wasl ka wada bhi nahin

Ananya Rai Parashar

MORE BYAnanya Rai Parashar

    hijr taqdīr nahīñ vasl va.ada bhī nahīñ

    ham ne khoyā bhī nahīñ aap ko paayā bhī nahīñ

    ab vo vīrānī vo tanhā.ī vo gumnāmī hai

    ab koī mujh se hai vābasta tamāsha bhī nahīñ

    kabhī muskā.e kabhī ro.e tirī yādoñ meñ

    bin tire maiñ ne koī lamha guzārā bhī nahīñ

    vo na jaane kyoñ mohabbat gumāñ rakhne lagā

    merī jānib se abhī aisā ishāra bhī nahīñ

    ḳhud ko dīvāna mirā sab ko batātā hai magar

    merā dīvāna mire naḳhre uThātā bhī nahīñ

    merī tanhā.ī mujhe aur dikhā.egī bhī kyā

    ab mire āsmāñ meñ ek sitārā bhī nahīñ

    Duub jaanā muqaddar huā jaatā hai kyā

    ab mayassar mujhe tinke sahārā bhī nahīñ

    chārāgar phir bane kyoñ hai masīhā sab

    mere zaḳhmoñ tire paas mudāvā bhī nahīñ

    dil ke sahrā ko 'ananyā' jo banā.e gulshan

    ḳhushk āñkhoñ meñ vo shādāb nazārā bhī nahīñ

    hijr taqdir nahin wasl ka wada bhi nahin

    hum ne khoya bhi nahin aap ko paya bhi nahin

    ab wo virani wo tanhai wo gumnami hai

    ab koi mujh se hai wabasta tamasha bhi nahin

    kabhi muskae kabhi roe teri yaadon mein

    bin tere main ne koi lamha guzara bhi nahin

    wo na jaane kyon mohabbat ka guman rakhne laga

    meri jaanib se abhi aisa ishaara bhi nahin

    KHud ko diwana mera sab ko batata hai magar

    mera diwana mere naKHre uThata bhi nahin

    meri tanhai mujhe aur dikhaegi bhi kya

    ab mere aasman mein ek sitara bhi nahin

    Dub jaana hi muqaddar hua jata hai kya

    ab mayassar mujhe tinke ka sahaara bhi nahin

    chaaragar phir tu bane kyon hai masiha sab ka

    mere zaKHmon ka tere pas mudawa bhi nahin

    dil ke sahra ko 'ananya' jo banae gulshan

    KHushk aankhon mein wo shadab nazara bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now