Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr tera teri qurbat ka bahana ho gaya

Rizwan Ahmad Raz

hijr tera teri qurbat ka bahana ho gaya

Rizwan Ahmad Raz

MORE BYRizwan Ahmad Raz

    hijr terā terī qurbat bahāna ho gayā

    yaad meñ terī hamārā aanā jaanā ho gayā

    aaj tujh ko ġhair ke hamrāh ḳhush dekhā to phir

    ġham jo thā tujh se bichhaḌne tavānā ho gayā

    umr bhar sahrā-navardī huā anjām ye

    rafta rafta dil meñ vahshat Thikāna ho gayā

    sañg-bārī meñ tasalsul natīja ye huā

    tañg aa kar dil mirā ā.īna-ḳhāna ho gayā

    dekhte dekhte tujh se ta.alluq ke sabab

    maiñ hujūm-e-shahr meñ ik din yagāna ho gayā

    hijr tera teri qurbat ka bahana ho gaya

    yaad mein teri hamara aana jaana ho gaya

    aaj tujh ko ghair ke hamrah KHush dekha to phir

    gham jo tha tujh se bichhaDne ka tawana ho gaya

    umr bhar sahra-nawardi ka hua anjam ye

    rafta rafta dil mein wahshat ka Thikana ho gaya

    sang-bari mein tasalsul ka natija ye hua

    tang aa kar dil mera aaina-KHana ho gaya

    dekhte hi dekhte tujh se talluq ke sabab

    main hujum-e-shahr mein ek din yagana ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now