Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

himaqat yun hui mere junun ki pir mein tum the

Azhar Bakhsh Azhar

himaqat yun hui mere junun ki pir mein tum the

Azhar Bakhsh Azhar

MORE BYAzhar Bakhsh Azhar

    himāqat yuuñ huī mere junūñ piir meñ tum the

    taḳhayyul meñ thā koī aur par tahrīr meñ tum the

    tumheñ gustāḳh maiñ kaise nazar aaya batāo to

    mirī har vādī-e-dil-sozī tauqīr meñ tum the

    hasīnāoñ ne mujh par tiir chhoḌe umr-bhar kyā kyā

    kiyā jo ġhaur to har ik nazar ke tiir meñ tum the

    shutter to camere chāñd par maiñ ne dabāyā thā

    magar jab jā.eza maiñ ne liyā tasvīr meñ tum the

    sabhī be-rang the manzar hasīñ chehre hasīñ vaadī

    sunā ye baad meñ ki un dinoñ kashmīr meñ tum the

    ḳhatā is meñ nahīñ merī ḳhudā faisla samjho

    duāoñ meñ thā koī aur par taqdīr meñ tum the

    kisī bhī qism unvān ho kuchh bhī taḳhayyul ho

    magar 'az.har' ke har ik sher ta.amīr meñ tum the

    himaqat yun hui mere junun ki pir mein tum the

    taKHayyul mein tha koi aur par tahrir mein tum the

    tumhein gustaKH main kaise nazar aaya batao to

    meri har wadi-e-dil-sozi ki tauqir mein tum the

    hasinaon ne mujh par tir chhoDe umr-bhar kya kya

    kiya jo ghaur to har ek nazar ke tir mein tum the

    shutter to camere ka chand par main ne dabaya tha

    magar jab jaeza main ne liya taswir mein tum the

    sabhi be-rang the manzar hasin chehre hasin wadi

    suna ye baad mein ki un dinon kashmir mein tum the

    KHata is mein nahin meri KHuda ka faisla samjho

    duaon mein tha koi aur par taqdir mein tum the

    kisi bhi qism ka unwan ho kuchh bhi taKHayyul ho

    magar 'azhar' ke har ek sher ki tamir mein tum the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now