himmat tamam tum se juTai nahin gai
himmat tamām tum se juTā.ī nahīñ ga.ī
ham se bhī āstīn chaḌhā.ī nahīñ ga.ī
sikkoñ meñ tol kar use zardār le gayā
qīmat hī aisī thī ki chukā.ī nahīñ ga.ī
shāyad use vujūd bachānā muhāl thā
parbat ke ās-pās jo raa.ī nahīñ ga.ī
tālāb meñ nahāne kī zid tum ne chhoḌ dī
paanī meñ tum se aag lagā.ī nahīñ ga.ī
sāmān tū ne baañT liyā be-hisī ke saath
maañ par tirī nazar mire bhaa.ī nahīñ ga.ī
tanhā na ehtimām do-gāne kā ho sakā
tere baġhair 'iid manā.ī nahīñ ga.ī
himmat tamam tum se juTai nahin gai
hum se bhi aastin chaDhai nahin gai
sikkon mein tol kar use zardar le gaya
qimat hi aisi thi ki chukai nahin gai
shayad use wujud bachana muhaal tha
parbat ke aas-pas jo rai nahin gai
talab mein nahane ki zid tum ne chhoD di
pani mein tum se aag lagai nahin gai
saman tu ne banT liya be-hisi ke sath
man par teri nazar mere bhai nahin gai
tanha na ehtimam do-gane ka ho saka
tere baghair 'id manai nahin gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.