Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hindu hai sikh hai muslim hai isai hai jo bhi hai wo watan ka nigahban hai

Julius Naheef Dehlvi

hindu hai sikh hai muslim hai isai hai jo bhi hai wo watan ka nigahban hai

Julius Naheef Dehlvi

MORE BYJulius Naheef Dehlvi

    hindū hai sikh hai muslim hai īsā.ī hai jo bhī hai vo vatan nigahbān hai

    ye na dekho ki vo kaam kartā hai kyā kaam kuchh bhī kare āḳhir insān hai

    ye chhuā chhūt hai dushmanī sabab ham-vatan haiñ to phir hai ye tafrīq kyuuñ

    ik barahman hai aur ek janjāt hai vo bhī insān hai vo bhī insān hai

    hādī-e-dīn jitne bhī aa.e yahāñ saarī duniyā ko un ye paiġhām thā

    nahīñ insāniyat jis meñ insāñ nahīñ jis meñ insāniyat hai vo insān hai

    krishn aa.e yahāñ aa.e munjī yahāñ nānak aa.e yahāñ aa.e rusul-e-ḳhudā

    sabhī ik dūsre se mohabbat kareñ saarī duniyā ko un ye farmān hai

    ye chhuā-chhūt hai asl meñ pur-ḳhatar is apne vatan par huā ye asar

    lākhoñ maare ga.e sirf is baat par jis ne aisā kiyā hai vo nādān hai

    ye mazāhib to apnī jagah haiñ magar ai 'nahīf' is se insān hai be-ḳhabar

    hai insān insān se pyaar kar yahī insān sachche pahchān hai

    hindu hai sikh hai muslim hai isai hai jo bhi hai wo watan ka nigahban hai

    ye na dekho ki wo kaam karta hai kya kaam kuchh bhi kare aaKHir insan hai

    ye chhua chhut hai dushmani ka sabab ham-watan hain to phir hai ye tafriq kyun

    ek barahman hai aur ek janjat hai wo bhi insan hai wo bhi insan hai

    hadi-e-din jitne bhi aae yahan sari duniya ko un ka ye paigham tha

    nahin insaniyat jis mein insan nahin jis mein insaniyat hai wo insan hai

    krishn aae yahan aae munji yahan nanak aae yahan aae rusul-e-KHuda

    sabhi ek dusre se mohabbat karen sari duniya ko un ka ye farman hai

    ye chhua-chhut hai asl mein pur-KHatar is ka apne watan par hua ye asar

    lakhon mare gae sirf is baat par jis ne aisa kiya hai wo nadan hai

    ye mazahib to apni jagah hain magar ai 'nahif' is se insan hai be-KHabar

    tu hai insan insan se pyar kar yahi insan sachche ki pahchan hai

    Source:

    Awaz-e-vatan (Pg. 21)

    • Author: Mahnama Shan-e-Hind
      • Edition: 1987
      • Publisher: Mahnama Shan-e-Hind
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now