hissa meri KHushi mein tera kam nahin raha
hissa mirī ḳhushī meñ tirā kam nahīñ rahā
jaane ke baa'd jaise tirā ġham nahīñ rahā
kartī huuñ yaad vaqfa-e-mātam nikāl kar
ḳhush huuñ chalo ye silsila paiham nahīñ rahā
is baar zalzale kī masāfat 'ajīb hai
halkā to ho gayā hai magar tham nahīñ rahā
maiñ kaise maan luuñ use merā ḳhayāl thā
jo hañs ke boltā rahā barham nahīñ rahā
itnā to jāntā hai ki mujh se bichhaḌ ke vo
achchhā to lag rahā hai magar jam nahīñ rahā
hissa meri KHushi mein tera kam nahin raha
jaane ke ba'd jaise tera gham nahin raha
karti hun yaad waqfa-e-matam nikal kar
KHush hun chalo ye silsila paiham nahin raha
is bar zalzale ki masafat 'ajib hai
halka to ho gaya hai magar tham nahin raha
main kaise man lun use mera KHayal tha
jo hans ke bolta raha barham nahin raha
itna to jaanta hai ki mujh se bichhaD ke wo
achchha to lag raha hai magar jam nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.