Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho aankh agar zinda guzarti hai na kya kya

Hakeem Manzoor

ho aankh agar zinda guzarti hai na kya kya

Hakeem Manzoor

MORE BYHakeem Manzoor

    ho aañkh agar zinda guzartī hai na kyā kyā

    yuuñ aab meñ bujhte hue sho'le sadā kyā

    ai ki yaqīñ hai tujhe shīshe ke badan par

    ehsās dastak pe kabhī kaan dharā kyā

    dīvār-e-tahī-naqsh har ik rang se māyūs

    kāġhaz ke liye mū-e-qalam sañg bachā kyā

    mahfūz hamīñ reg-hisāroñ meñ hue the

    kyā varna samundar guzar mauj-e-havā kyā

    vo shaḳhs mire saa.e se rakhtā hai ta'alluq

    merā yaqīñ TuuT gayā us gayā kyā

    us barf ke insān taḳhlīq mirī thī

    is dhuup nagrī meñ mile us patā kyā

    ḳhud tiir hadoñ meñ hoñ abhī sach hai ye 'manzūr'

    us chashm-giraftār ko mānūñgā ḳhudā kyā

    ho aankh agar zinda guzarti hai na kya kya

    yun aab mein bujhte hue sho'le ki sada kya

    ai tu ki yaqin hai tujhe shishe ke badan par

    ehsas ki dastak pe kabhi kan dhara kya

    diwar-e-tahi-naqsh har ek rang se mayus

    kaghaz ke liye mu-e-qalam sang bacha kya

    mahfuz hamin reg-hisaron mein hue the

    kya warna samundar ka guzar mauj-e-hawa kya

    wo shaKHs mere sae se rakhta hai ta'alluq

    mera hi yaqin TuT gaya us ka gaya kya

    us barf ke insan ki taKHliq meri thi

    is dhup ki nagri mein mile us ka pata kya

    KHud tir hadon mein hon abhi sach hai ye 'manzur'

    us chashm-giraftar ko manunga KHuda kya

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 379)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now