ho ata sahba-e-gham ka aur paimana abhi
ho 'atā sahbā-e-ġham kā aur paimāna abhī
tishnagī baaqī hai merī pīr-e-mai-ḳhāna abhī
aa.e ḳhalvat meñ na yā-rab koī begāna abhī
sun rahe haiñ vo hamāre ġham kā afsāna abhī
ro diye sun kar jise vo muḳhtasar tamhīd thī
dard meñ Duubā huā baaqī hai afsāna abhī
merī qismat kā badal jaanā to kuchh mushkil nahīñ
josh meñ aa.ī nahīñ shān-e-karīmāna abhī
dil to pahlī hī nazar meñ kar chuke un par nisār
jaan bhī de deñ ki baaqī hai ye nazrāna abhī
inkishāf-e-rāz-e-hastī ġhair-mumkin to nahīñ
hosh meñ aayā nahīñ hai terā dīvāna abhī
jo razā-e-dost ko rakhtā nahīñ pesh-e-nazar
'ishq ke maslak se hai 'āshiq' vo begāna abhī
ho 'ata sahba-e-gham ka aur paimana abhi
tishnagi baqi hai meri pir-e-mai-KHana abhi
aae KHalwat mein na ya-rab koi begana abhi
sun rahe hain wo hamare gham ka afsana abhi
ro diye sun kar jise wo muKHtasar tamhid thi
dard mein Duba hua baqi hai afsana abhi
meri qismat ka badal jaana to kuchh mushkil nahin
josh mein aai nahin shan-e-karimana abhi
dil to pahli hi nazar mein kar chuke un par nisar
jaan bhi de den ki baqi hai ye nazrana abhi
inkishaf-e-raaz-e-hasti ghair-mumkin to nahin
hosh mein aaya nahin hai tera diwana abhi
jo raza-e-dost ko rakhta nahin pesh-e-nazar
'ishq ke maslak se hai 'ashiq' wo begana abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.