Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho dawa mere maraz ki to mujhe la kar de

Raj Kumar Kori Raz

ho dawa mere maraz ki to mujhe la kar de

Raj Kumar Kori Raz

MORE BYRaj Kumar Kori Raz

    ho davā mere maraz to mujhe kar de

    mire haq meñ duā ḳhudārā kar de

    bhale aa na magar dil tasallī ke liye

    be-ruḳhī yuuñ na dikhā koī bahāna kar de

    is se pahle ki shikāyat mirī pahuñche tujh tak

    mujhe bazm se jaane ishāra kar de

    pattharoñ ko hai ye Dar daur-e-munāsib meñ kahīñ

    un ko chhū kar na koī raam ahliya kar de

    hai miyāñ vaqt ye varna jo jamūrā chāhe

    vo kisī din bhī madārī ko tamāshā kar de

    apne is ilm pe shohrat havas hai bhārī

    jo ki ġhairat ko bhī jab chaah le andhā kar de

    'rāz' sach bhī jo kahtā hai burā lagtā hai

    ye zabāñ terī kisī ko bhī parāyā kar de

    ho dawa mere maraz ki to mujhe la kar de

    ya mere haq mein dua hi tu KHudara kar de

    tu bhale aa na magar dil ki tasalli ke liye

    be-ruKHi yun na dikha koi bahana kar de

    is se pahle ki shikayat meri pahunche tujh tak

    tu mujhe bazm se jaane ka ishaara kar de

    pattharon ko hai ye Dar daur-e-munasib mein kahin

    un ko chhu kar na koi ram ahliya kar de

    hai miyan waqt ye warna jo jamura chahe

    wo kisi din bhi madari ko tamasha kar de

    apne is ilm pe shohrat ki hawas hai bhaari

    jo ki ghairat ko bhi jab chah le andha kar de

    'raaz' tu sach bhi jo kahta hai bura lagta hai

    ye zaban teri kisi ko bhi paraya kar de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now