Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho gae hum jahan se begane

Kashif Shakeel

ho gae hum jahan se begane

Kashif Shakeel

MORE BYKashif Shakeel

    ho ga.e ham jahāñ se begāne

    vahshatoñ aur ġhamoñ ke dīvāne

    ab hamārī koī talab nahīñ

    haal apnā to bas ḳhudā jaane

    nekiyāñ nāma-e-siyāh meñ haiñ

    jaise naalī meñ kuchh guhar daane

    dostoñ se vafā aas kahāñ

    ham to chit ho ga.e sabhī ḳhāne

    tum nazar se kah ga.e hote

    lafz se māvarā haiñ parvāne

    aao kar ke hāo-hū kareñ

    koī masjid nahīñ haiñ maiḳhāne

    shaiḳh ne ishq kar diyā jaa.ez

    ga.e jab diloñ ke nazrāne

    ai na.ī nasl tum kaam karo

    ham sabhī ho ga.e haiñ afsāne

    'kāshif' ab ishq meñ jannat hai

    koī maane phir nahīñ maane

    ho gae hum jahan se begane

    wahshaton aur ghamon ke diwane

    ab hamari koi talab hi nahin

    haal apna to bas KHuda jaane

    nekiyan nama-e-siyah mein hain

    jaise nali mein kuchh guhar dane

    doston se wafa ki aas kahan

    hum to chit ho gae sabhi KHane

    tum nazar hi se kah gae hote

    lafz se mawara hain parwane

    aao pi kar ke hao-hu hi karen

    koi masjid nahin hain maiKHane

    shaiKH ne ishq kar diya jaez

    pa gae jab dilon ke nazrane

    ai nai nasl tum hi kaam karo

    hum sabhi ho gae hain afsane

    'kashif' ab ishq mein hi jannat hai

    koi mane ya phir nahin mane

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now