ho gae tarik sae sham peDon ke tale
ho ga.e tārīk saa.e shaam peḌoñ ke tale
bāñsurī koī bajā.e shaam peḌoñ ke tale
ek anjāne nagar se soch rut kā devtā
aa gayā hai bin bulā.e shaam peḌoñ ke tale
garmiyoñ kā ik safar phir kaT gayā thak haar ke
din hai baiThā sar jhukā.e shaam peḌoñ ke tale
tere aa jaane se lamhe chalte chalte ruk ga.e
aaj yūñhī thak na jaa.e shaam peḌoñ ke tale
so ga.e haiñ phuul bhī Tahnī kā jhūlā jhūlte
loriyāñ koī sunā.e shaam peḌoñ ke tale
baaġh meñ koyal kī kū-kū jis tarah gorī koī
rūThe sājan ko manā.e shaam peḌoñ ke tale
aaj phir 'zāhid' bahut shiddat se aa kar us kī yaad
sabr merā āzmā.e shaam peḌoñ ke tale
ho gae tarik sae sham peDon ke tale
bansuri koi bajae sham peDon ke tale
ek anjaane nagar se soch rut ka dewta
aa gaya hai bin bulae sham peDon ke tale
garmiyon ka ek safar phir kaT gaya thak haar ke
din hai baiTha sar jhukae sham peDon ke tale
tere aa jaane se lamhe chalte chalte ruk gae
aaj yunhi thak na jae sham peDon ke tale
so gae hain phul bhi Tahni ka jhula jhulte
loriyan koi sunae sham peDon ke tale
bagh mein koyal ki ku-ku jis tarah gori koi
ruThe sajan ko manae sham peDon ke tale
aaj phir 'zahid' bahut shiddat se aa kar us ki yaad
sabr mera aazmae sham peDon ke tale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.