Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho gai apnon ki zahir dushmani achchha hua

Asghar Velori

ho gai apnon ki zahir dushmani achchha hua

Asghar Velori

MORE BYAsghar Velori

    ho ga.ī apnoñ zāhir dushmanī achchhā huā

    chhoḌ ham ne bhī un dostī achchhā huā

    bach ga.e apnoñ ke har mashq-e-sitam se shukr hai

    dostoñ ne ham ko samjhā ajnabī achchhā huā

    jis ko jiine zarā bhī nahīñ thā hausla

    Dar ke ġham se mar gayā vo aadmī achchhā huā

    jaane maiñ aur ke jhagḌe kaise suljhāte bhī ham

    aa ga.ī thī kaam apnī be-ḳhudī achchhā huā

    shaam ke saa.e se bhī Dartī rahī jo raushnī

    khā ga.ī us raushnī ko tīrgī achchhā huā

    ġham apnā yaar hai dil se judā hotā nahīñ

    chand lamhoñ ḳhushī ab chukī achchhā huā

    kaun detā mujh ko un bevafā.ī subūt

    aap ne kar kahī ko an-kahī achchhā huā

    mujh ko dīvāna samajh kar log mujh se duur haiñ

    muft meñ jo mujh pe ye tohmat lagī achchhā huā

    is tarah se laaj rakh ham ne 'asġhar' pyaar

    rote rote aa ga.ī lab par hañsī achchhā huā

    ho gai apnon ki zahir dushmani achchha hua

    chhoD di hum ne bhi un ki dosti achchha hua

    bach gae apnon ke har mashq-e-sitam se shukr hai

    doston ne hum ko samjha ajnabi achchha hua

    jis ko jine ka zara sa bhi nahin tha hausla

    Dar ke gham se mar gaya wo aadmi achchha hua

    jaane main aur tu ke jhagDe kaise suljhate bhi hum

    aa gai thi kaam apni be-KHudi achchha hua

    sham ke sae se bhi Darti rahi jo raushni

    kha gai us raushni ko tirgi achchha hua

    gham hi apna yar hai dil se juda hota nahin

    chand lamhon ki KHushi ab ja chuki achchha hua

    kaun deta mujh ko un ki bewafai ka subut

    aap ne kar di kahi ko an-kahi achchha hua

    mujh ko diwana samajh kar log mujh se dur hain

    muft mein jo mujh pe ye tohmat lagi achchha hua

    is tarah se laj rakh li hum ne 'asghar' pyar ki

    rote rote aa gai lab par hansi achchha hua

    Source:

    Khule Alfaaz (Pg. 24)

    • Author: Asghar Veloori
      • Edition: 2003
      • Publisher: Sarmadi Publications
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now