Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho gai sari pashemani abas

Saba Jayasi

ho gai sari pashemani abas

Saba Jayasi

MORE BYSaba Jayasi

    ho ga.ī saarī pashemānī abas

    apnī hastī ham ne pahchānī abas

    ab nikaltā nahīñ sūrat se aks

    dil ye ā.īna-sāmānī abas

    aañkh patthar tarah sākit ho jab

    qulzum-e-ḳhūñ ye jaulānī abas

    zindagī hai reg-zār-e-be-karāñ

    dīda-e-betāb tuġhyānī abas

    milne par hairān honā thā 'sabā'

    chhūT kar un se ye hairānī abas

    ho gai sari pashemani abas

    apni hasti hum ne pahchani abas

    ab nikalta hi nahin surat se aks

    dil ki ye aaina-samani abas

    aankh patthar ki tarah sakit ho jab

    qulzum-e-KHun ki ye jaulani abas

    zindagi hai reg-zar-e-be-karan

    dida-e-betab tughyani abas

    milne par hairan hona tha 'saba'

    chhuT kar un se ye hairani abas

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 436)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now