Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho gaya sab KHak muztar rah-e-parwana rahi

Sufiya Deepika Kausar

ho gaya sab KHak muztar rah-e-parwana rahi

Sufiya Deepika Kausar

MORE BYSufiya Deepika Kausar

    ho gayā sab ḳhaak muztar rāh-e-parvāna rahī

    bazm meñ raushan sahar tak jān-e-jānāna rahī

    haisiyat kyā aur haqīqat kyā bhalā is ḳhaak

    us ke har naqsh-e-qadam par phir bhī nazrāna rahī

    pyaas zarf aise khul jā.egā kab ma.alūm thā

    tishnagī jām-o-subū tak pīr-e-mai-ḳhāna rahī

    taḳhayyul ne mire paikar-tarāshī is qadar

    dil sanam-ḳhāna rahā aañkh ā.ina-ḳhāna rahī

    kam na thī mīnā-e-hastī meñ mai-e-jalva magar

    tishna-kāmī hayāt-e-nau paimāna rahī

    roz-e-avval se abad tak aap yaksāñ rah ga.ī

    rind thī apnī tabī.at yuuñ rindāna rahī

    tum haqīqat pūchhte ho ishq 'kausar' suno

    dasht-o-sahrā kahānī apnā afsāna rahī

    ho gaya sab KHak muztar rah-e-parwana rahi

    bazm mein raushan sahar tak jaan-e-jaanana rahi

    haisiyat kya aur haqiqat kya bhala is KHak ki

    us ke har naqsh-e-qadam par phir bhi nazrana rahi

    pyas ka zarf aise khul jaega kab malum tha

    tishnagi jam-o-subu tak pir-e-mai-KHana rahi

    ki taKHayyul ne mere paikar-tarashi is qadar

    dil sanam-KHana raha aankh aaina-KHana rahi

    kam na thi mina-e-hasti mein mai-e-jalwa magar

    tishna-kaami hi hayat-e-nau ka paimana rahi

    roz-e-awwal se abad tak aap yaksan rah gai

    rind thi apni tabiat yun hi rindana rahi

    tum haqiqat puchhte ho ishq 'kausar' ki suno

    dasht-o-sahra ki kahani apna afsana rahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now