Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho kabhi gar tujhko dariya ki rawani dekhna

Ankit Maurya

ho kabhi gar tujhko dariya ki rawani dekhna

Ankit Maurya

MORE BYAnkit Maurya

    ho kabhī gar tujh ko dariyā ravānī dekhnā

    to ham jaise dīvānoñ kahānī dekhnā

    chaḌhte dekhī ek chyūñTī maiñ ne us dīvār par

    us se sīkhā ḳhvāb maiñ ne āsmānī dekhnā

    dekhne bhar se tumheñ hai miltā is dil ko sukūn

    chāhtā huuñ tum ko saarī zindagānī dekhnā

    sher ke pahle misre meñ likhā hai us naam

    phir nahīñ hai ab to mumkin us saanī dekhnā

    jis javānī pe tumheñ bhī aaj hai itnā gumān

    ek din Dhal jaanī hai saarī javānī dekhnā

    baiThnā aa ke kisī shab saath mere aur phir

    in ḳhush āñkhoñ se to girye ravānī dekhnā

    chāhiye jitnā maiñ us ko bātoñ meñ huuñ chukā

    ab badan pe vasl hai bas nishānī dekhnā

    ho kabhi gar tujh ko dariya ki rawani dekhna

    to tu hum jaise diwanon ki kahani dekhna

    chaDhte dekhi ek chyunTi main ne us diwar par

    us se sikha KHwab main ne aasmani dekhna

    dekhne bhar se tumhein hai milta is dil ko sukun

    chahta hun tum ko sari zindagani dekhna

    sher ke pahle hi misre mein likha hai us ka nam

    phir nahin hai ab to mumkin us ka sani dekhna

    jis jawani pe tumhein bhi aaj hai itna guman

    ek din Dhal jaani hai sari jawani dekhna

    baiThna aa ke kisi shab sath mere aur phir

    in KHush aankhon se to girye ki rawani dekhna

    chahiye jitna main us ko baaton mein hun la chuka

    ab badan pe wasl ki hai bas nishani dekhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now