Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho ke bechain main bhaga kiya aahu ki tarah

Krishn Bihari Noor

ho ke bechain main bhaga kiya aahu ki tarah

Krishn Bihari Noor

MORE BYKrishn Bihari Noor

    ho ke bechain maiñ bhāgā kiyā aahū tarah

    bas gayā thā mire andar koī ḳhushbū tarah

    koī saaya na milā sāya-e-gesū tarah

    saare jīvan thakan utrī hai jaadū tarah

    merī āvāz tujhe chhū le bas itnī mohlat

    tere kūche se guzar jā.ūñgā sādhū tarah

    vo jo aa jaa.e to kyā hosh aalam hogā

    jis ke aane ḳhabar phailī hai ḳhushbū tarah

    zindagī pyaar vafā sab muqaddar yaksāñ

    muskurāhaT tarah hai kabhī aañsū tarah

    har taraf aag lagā aa.e ho phir pūchhte ho

    kyuuñ chalī bād-e-sabā ab ke baras tarah

    shā.erī terī ibādat ke sivā kuchh bhī nahīñ

    kar rahā huuñ maiñ tapasyā kisī sādhū tarah

    har alam saath rahā gard-e-safar mānind

    har ḳhushī raah meñ mujh ko milī jugnū tarah

    zindagī Thokareñ khātī hai bichhaḌ kar tujh se

    terī pāzeb ke TuuTe hue ghuñghrū tarah

    koī ishvar kahe us ko ki ḳhudā koī kahe

    vo musalmāñ tarah hai na vo hindū tarah

    apnī har saañs pe ehsāñ liye ham-dardoñ

    zindagī jiitā huuñ is ahd meñ urdu tarah

    ab ye ehsās ḳhūbī ho ki ḳhāmī ho 'nūr'

    us nafrat dhuāñ bhī lagā ḳhushbū tarah

    ho ke bechain main bhaga kiya aahu ki tarah

    bas gaya tha mere andar koi KHushbu ki tarah

    koi saya na mila saya-e-gesu ki tarah

    sare jiwan ki thakan utri hai jadu ki tarah

    meri aawaz tujhe chhu le bas itni mohlat

    tere kuche se guzar jaunga sadhu ki tarah

    wo jo aa jae to kya hosh ka aalam hoga

    jis ke aane ki KHabar phaili hai KHushbu ki tarah

    zindagi pyar wafa sab ka muqaddar yaksan

    muskurahaT ki tarah hai kabhi aansu ki tarah

    har taraf aag laga aae ho phir puchhte ho

    kyun chali baad-e-saba ab ke baras lu ki tarah

    shaeri teri ibaadat ke siwa kuchh bhi nahin

    kar raha hun main tapasya kisi sadhu ki tarah

    har alam sath raha gard-e-safar ki manind

    har KHushi rah mein mujh ko mili jugnu ki tarah

    zindagi Thokaren khati hai bichhaD kar tujh se

    teri pazeb ke TuTe hue ghunghru ki tarah

    koi ishwar kahe us ko ki KHuda koi kahe

    wo musalman ki tarah hai na wo hindu ki tarah

    apni har sans pe ehsan liye ham-dardon ka

    zindagi jita hun is ahd mein urdu ki tarah

    ab ye ehsas ki KHubi ho ki KHami ho 'nur'

    us ki nafrat ka dhuan bhi laga KHushbu ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now