Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho KHumar itna ki haalat rahe sarshaari ki

Ahmad Adil

ho KHumar itna ki haalat rahe sarshaari ki

Ahmad Adil

MORE BYAhmad Adil

    ho ḳhumār itnā ki hālat rahe sarshārī

    ye jo bad-mastī hai tauhīn hai mai-ḳhvārī

    ab to baaqī na rahā koī shikāyat javāz

    us ne rasman jo musalsal mirī ġham-ḳhvārī

    ḳhvāhisheñ dil meñ vo fauran uThā detā hai

    jab bhī tauba mire nafs ne ayyārī

    muntazir kab se haiñ ham sub.h ke āsār nahīñ

    jaane kab raat Dhale aur chhaTe tārīkī

    yuuñ gumāñ thā ki mirī maan legā lekin

    ek dīvār sar-e-rāh thī ḳhuddārī

    bas ye kar sakte the ham aur bhalā kyā karte

    sīñchā ashkoñ se chaman ḳhuun se gul-kārī

    yuuñ tah-e-zāt hasīñ ḳhvāboñ ke manzar kar

    aarzū ab na rahī auroñ ġham-ḳhvārī

    tum to kahte the giraftār chalā āye.gā

    us ne pahnī nahīñ zanjīr vafādārī

    haiñ ġhazal meñ mirī pinhāñ ka.ī nukte 'ādil'

    hai kahīñ lahja nayā aur kahīñ bārīkī

    ho KHumar itna ki haalat rahe sarshaari ki

    ye jo bad-masti hai tauhin hai mai-KHwari ki

    ab to baqi na raha koi shikayat ka jawaz

    us ne rasman jo musalsal meri gham-KHwari ki

    KHwahishen dil mein wo fauran hi uTha deta hai

    jab bhi tauba ki mere nafs ne ayyari ki

    muntazir kab se hain hum subh ke aasar nahin

    jaane kab raat Dhale aur chhaTe tariki

    yun guman tha ki meri man hi lega lekin

    ek diwar sar-e-rah thi KHuddari ki

    bas ye kar sakte the hum aur bhala kya karte

    sincha ashkon se chaman KHun se gul-kari ki

    yun tah-e-zat hasin KHwabon ke manzar pa kar

    aarzu ab na rahi auron ki gham-KHwari ki

    tum to kahte the giraftar chala aayega

    us ne pahni nahin zanjir wafadari ki

    hain ghazal mein meri pinhan kai nukte 'adil'

    hai kahin lahja naya aur kahin bariki

    Source:

    Aalam-e-Imkan (Pg. 120)

    • Author: Ahmad Adil
      • Publisher: Al-Hamd Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2021
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now