ho kuchh aaseb to wan chahiye ganDa tawiz
ho kuchh aaseb to vaañ chāhiye ganDā tā'vīz
aur jo ho 'ishq kā saaya to kare kyā tā'vīz
dil ko jis vaqt ye jin aan ke lipTā phir to
kyā kareñ vaañ vo jo likhte haiñ falītā tā'vīz
ham to jab hosh meñ aaveñ jo kahīñ se pāveñ
yaar ke haath kā baazū kā gale kā tā'vīz
zor tā'vīz kā chaltā to arab meñ yaaro
kyā koī ek bhī majnūñ ko na detā tā'vīz
kohkan koh ko kis vāste kaaTā kartā
dete ġham-ḳhvār na kyā is ke ta.iiñ lā tā'vīz
āḳhir us ke bhī gayā dil kā dhḌaknā us roz
qabr kā teshe ne jab us ke tarāshā tā'vīz
ham ko bhī kitne hī logoñ ne diye aah 'nazīr'
par kisī kā koī kuchh kaam na aayā tā'vīz
ho kuchh aaseb to wan chahiye ganDa ta'wiz
aur jo ho 'ishq ka saya to kare kya ta'wiz
dil ko jis waqt ye jin aan ke lipTa phir to
kya karen wan wo jo likhte hain falita ta'wiz
hum to jab hosh mein aawen jo kahin se pawen
yar ke hath ka bazu ka gale ka ta'wiz
zor ta'wiz ka chalta to arab mein yaro
kya koi ek bhi majnun ko na deta ta'wiz
kohkan koh ko kis waste kaTa karta
dete gham-KHwar na kya is ke tain la ta'wiz
aaKHir us ke bhi gaya dil ka dhDakna us roz
qabr ka teshe ne jab us ke tarasha ta'wiz
hum ko bhi kitne hi logon ne diye aah 'nazir'
par kisi ka koi kuchh kaam na aaya ta'wiz
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.