Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho kuchh aaseb to wan chahiye ganDa tawiz

Nazeer Akbarabadi

ho kuchh aaseb to wan chahiye ganDa tawiz

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    ho kuchh aaseb to vaañ chāhiye ganDā tā'vīz

    aur jo ho 'ishq saaya to kare kyā tā'vīz

    dil ko jis vaqt ye jin aan ke lipTā phir to

    kyā kareñ vaañ vo jo likhte haiñ falītā tā'vīz

    ham to jab hosh meñ aaveñ jo kahīñ se pāveñ

    yaar ke haath baazū gale tā'vīz

    zor tā'vīz chaltā to arab meñ yaaro

    kyā koī ek bhī majnūñ ko na detā tā'vīz

    kohkan koh ko kis vāste kaaTā kartā

    dete ġham-ḳhvār na kyā is ke ta.iiñ tā'vīz

    āḳhir us ke bhī gayā dil dhḌaknā us roz

    qabr teshe ne jab us ke tarāshā tā'vīz

    ham ko bhī kitne logoñ ne diye aah 'nazīr'

    par kisī koī kuchh kaam na aayā tā'vīz

    ho kuchh aaseb to wan chahiye ganDa ta'wiz

    aur jo ho 'ishq ka saya to kare kya ta'wiz

    dil ko jis waqt ye jin aan ke lipTa phir to

    kya karen wan wo jo likhte hain falita ta'wiz

    hum to jab hosh mein aawen jo kahin se pawen

    yar ke hath ka bazu ka gale ka ta'wiz

    zor ta'wiz ka chalta to arab mein yaro

    kya koi ek bhi majnun ko na deta ta'wiz

    kohkan koh ko kis waste kaTa karta

    dete gham-KHwar na kya is ke tain la ta'wiz

    aaKHir us ke bhi gaya dil ka dhDakna us roz

    qabr ka teshe ne jab us ke tarasha ta'wiz

    hum ko bhi kitne hi logon ne diye aah 'nazir'

    par kisi ka koi kuchh kaam na aaya ta'wiz

    Source :
    • Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now