Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho pareshan na koi kashT uTha mere liye

Faisal Sahab

ho pareshan na koi kashT uTha mere liye

Faisal Sahab

MORE BYFaisal Sahab

    ho pareshāñ na koī kashT uThā mere liye

    ye behtar hai ki duur ho mere liye

    haa.e is baar bhī dhoka rahā mere liye

    vo jo palTā to mujhe aisā lagā mere liye

    maiñ ne is baat pe āḳhir ko baġhāvat kar

    kitnī aa saktī hai piñjre meñ havā mere liye

    saare pyāse the mire ḳhuun ke lekin pahle

    aap andāza kareñ yaar uThā mere liye

    maiñ ġhulāmoñ tarah aur hai shahzādī

    apne har ḳhvāb qīmat na ghaTā mere liye

    maut se baḌh ke tirā hijr mujhe kyā degā

    aur tajvīz karo koī sazā mere liye

    vo to achchhā huā tab hosh nahīñ thā 'sāhib'

    varna maiñ kahtā ki duniyā na banā mere liye

    ho pareshan na koi kashT uTha mere liye

    ye hi behtar hai ki tu dur ho ja mere liye

    hae is bar bhi dhoka hi raha mere liye

    wo jo palTa to mujhe aisa laga mere liye

    main ne is baat pe aaKHir ko baghawat kar di

    kitni aa sakti hai pinjre mein hawa mere liye

    sare pyase the mere KHun ke lekin pahle

    aap andaza karen yar uTha mere liye

    main ghulamon ki tarah aur hai shahzadi tu

    apne har KHwab ki qimat na ghaTa mere liye

    maut se baDh ke tera hijr mujhe kya dega

    aur tajwiz karo koi saza mere liye

    wo to achchha hua tab hosh nahin tha 'sahib'

    warna main kahta ki duniya na bana mere liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now