Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho rahi hai dar-ba-dar aisi jabin-sai ki bas

Wamiq Jaunpuri

ho rahi hai dar-ba-dar aisi jabin-sai ki bas

Wamiq Jaunpuri

MORE BYWamiq Jaunpuri

    ho rahī hai dar-ba-dar aisī jabīñ-sā.ī ki bas

    kyā abhī baaqī hai koī aur rusvā.ī ki bas

    āshnā rāheñ bhī hotī rahī haiñ ajnabī

    is tarah jaatī rahī āñkhoñ se bīnā.ī ki bas

    sahar karte rahe ham intizār-e-mehr-e-nau

    dekhte dekhte aisī ghaTā chhā.ī ki bas

    DhūñDte rah ga.e ham laal o almās o guhar

    kor bad-bīnoñ ne aisī ḳhaak chhanvā.ī ki bas

    kuchh shu.ūr o his thā bohrān ham meñ varna ham

    ahd-e-nau is tarah karte pazīrā.ī ki bas

    kyā nahīñ kaj-aks ā.īnoñ duniyā meñ ilaaj

    jis ko dekho hai ajab mahv-e-ḳhud-ārā.ī ki bas

    chākrī karte hue bhī ham rahe āzād-rau

    dast-o-pā-e-shauq meñ hai vo tavānā.ī ki bas

    aah kyā karte ki ham aadī na the ārām ke

    choT ik ik gaam par albatta vo khaa.ī ki bas

    us hasīñ giitī ke khul kar rah ga.e sab joḌ-band

    chand pāgal zarroñ ko aa.ī vo añgḌā.ī ki bas

    vo to kahiye baat ki fursat na thī varna ajal

    pūchhtī gāv-e-zamīñ se aur paspā.ī ki bas

    kaun shā.ir thā kahīñ kaun dānish-var magar

    daftaroñ dauḌ 'vāmiq' aisī raas aa.ī ki bas

    ho rahi hai dar-ba-dar aisi jabin-sai ki bas

    kya abhi baqi hai koi aur ruswai ki bas

    aashna rahen bhi hoti ja rahi hain ajnabi

    is tarah jati rahi aankhon se binai ki bas

    ta sahar karte rahe hum intizar-e-mehr-e-nau

    dekhte hi dekhte aisi ghaTa chhai ki bas

    DhunDte hi rah gae hum lal o almas o guhar

    kor bad-binon ne aisi KHak chhanwai ki bas

    kuchh shuur o his ka tha bohran hum mein warna hum

    ahd-e-nau ki is tarah karte pazirai ki bas

    kya nahin kaj-aks aainon ka duniya mein ilaj

    jis ko dekho hai ajab mahw-e-KHud-arai ki bas

    chaakri karte hue bhi hum rahe aazad-rau

    dast-o-pa-e-shauq mein hai wo tawanai ki bas

    aah kya karte ki hum aadi na the aaram ke

    choT ek ek gam par albatta wo khai ki bas

    us hasin giti ke khul kar rah gae sab joD-band

    chand pagal zarron ko aai wo angDai ki bas

    wo to kahiye baat ki fursat na thi warna ajal

    puchhti gaw-e-zamin se aur paspai ki bas

    kaun shair tha kahin ka kaun danish-war magar

    daftaron ki dauD 'wamiq' aisi ras aai ki bas

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ho rahi hai dar-ba-dar aisi jabin-sai ki bas Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now