hoga ujala dawe-dari uski thi
hogā ujālā da.ave-dārī us kī thī
aur añdhere se bhī yaarī us kī thī
shukr ḳhudā kā jiit ga.e ham jañg magar
ham se behtar to tayyārī us kī thī
ye bhī sach hai maiñ is baar bhī aage thā
ye bhī sach hai ab ke baarī us kī thī
mere bas meñ ruuTh ke jaanā thā manzūr
mujhe manānā zimmedārī us kī thī
hoga ujala dawe-dari us ki thi
aur andhere se bhi yari us ki thi
shukr KHuda ka jit gae hum jang magar
hum se behtar to tayyari us ki thi
ye bhi sach hai main is bar bhi aage tha
ye bhi sach hai ab ke bari us ki thi
mere bas mein ruTh ke jaana tha manzur
mujhe manana zimmedari us ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.