Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

honi hun kisi haal mein Talne ki nahin hun

Nusrat Mehdi

honi hun kisi haal mein Talne ki nahin hun

Nusrat Mehdi

MORE BYNusrat Mehdi

    honī huuñ kisī haal meñ Talne nahīñ huuñ

    maiñ vaqt ke hāthoñ se nikalne nahīñ huuñ

    ye baat sahī TuuT ke bikhrī to bahut huuñ

    ye baat ġhalat hai ki sambhalne nahīñ huuñ

    lagtā hai jaḌeñ phail ga.ī haiñ mirī tujh meñ

    ukhḌī to kahīñ phūlne-phalne nahīñ huuñ

    pahchān zamāne meñ yahī hai mirī ab maiñ

    kirdār kahānī meñ badalne nahīñ huuñ

    maiñ huuñ pas-e-manzar bhī takmīl meñ shāmil

    bas is liye manzar se nikalne nahīñ huuñ

    be-ḳhauf jo sach boltā rahtā hai hamesha

    vo aa.ina apnā maiñ badalne nahīñ huuñ

    vahshat hai bahut ḳhuun meñ 'nusrat' isī Dar se

    sahrā taraf ke Tahalne nahīñ huuñ

    honi hun kisi haal mein Talne ki nahin hun

    main waqt ke hathon se nikalne ki nahin hun

    ye baat sahi TuT ke bikhri to bahut hun

    ye baat ghalat hai ki sambhalne ki nahin hun

    lagta hai jaDen phail gai hain meri tujh mein

    ukhDi to kahin phulne-phalne ki nahin hun

    pahchan zamane mein yahi hai meri ab main

    kirdar kahani mein badalne ki nahin hun

    main hun pas-e-manzar ki bhi takmil mein shamil

    bas is liye manzar se nikalne ki nahin hun

    be-KHauf jo sach bolta rahta hai hamesha

    wo aaina apna main badalne ki nahin hun

    wahshat hai bahut KHun mein 'nusrat' isi Dar se

    sahra ki taraf ja ke Tahalne ki nahin hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now