hosh mere uḌā na jaa.eñ kahīñ
aa.ine meñ vo aa na jaa.eñ kahīñ
aur kitnī havās-bāḳhtagī
uñgliyāñ ham chabā na jaa.eñ kahīñ
kaT na jaa.e udāsiyoñ kā tilism
Dar hai vo muskurā na jaa.eñ kahīñ
dil kī dīvār meñ tire jhoñke
koī khiḌkī banā na jaa.eñ kahīñ
ḳhud-kushī ke liye tirī bāteñ
koī rasta sujhā na jaa.eñ kahīñ
jaate jaate sharār-paikar log
merī āñkheñ jalā na jaa.eñ kahīñ
maañd kar de ye rang-afshānī
titliyāñ baukhlā na jaa.eñ kahīñ
ye siyah-fām hasrateñ merī
āsmānoñ pe chhā na jaa.eñ kahīñ
hosh mere uDa na jaen kahin
aaine mein wo aa na jaen kahin
aur kitni hawas-baKHtagi
ungliyan hum chaba na jaen kahin
kaT na jae udasiyon ka tilism
Dar hai wo muskura na jaen kahin
dil ki diwar mein tere jhonke
koi khiDki bana na jaen kahin
KHud-kushi ke liye teri baaten
koi rasta sujha na jaen kahin
jate jate sharar-paikar log
meri aankhen jala na jaen kahin
mand kar de ye rang-afshani
titliyan baukhla na jaen kahin
ye siyah-fam hasraten meri
aasmanon pe chha na jaen kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.