Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hosh-o-KHirad ka rah-e-junun mein guzar nahin

Vahshi Kanpuri

hosh-o-KHirad ka rah-e-junun mein guzar nahin

Vahshi Kanpuri

MORE BYVahshi Kanpuri

    hosh-o-ḳhirad rāh-e-junūñ meñ guzar nahīñ

    yaañ bā-ḳhabar vo hai jise apnī ḳhabar nahīñ

    kuchh izhdihām jalva se aatā nazar nahīñ

    vo paas haiñ ki duur ye tujh ko ḳhabar nahīñ

    josh-e-junūn-e-ishq takmīl ke liye

    kyā kam hai ye ki aah meñ merī asar nahīñ

    idrāk kar liyā hai vahāñ ishq ne tujhe

    ehsās-e-vahm bhī jahāñ par guzar nahīñ

    shabnam jazb chāhiye ḳhurshīd karam

    parvāz-e-ishq munhasir-e-bāl-o-par nahīñ

    duniyā-e-ishq meñ dil-e-nā-āshnā-e-ġham

    aisī bhī ek shaam hai jis sahar nahīñ

    rag rag dil-e-fasurda muddat se sard hai

    ab ḳhāk-dān-e-ishq meñ koī sharar nahīñ

    'vahshī' qadam qadam pe yahāñ sajda-rez ho

    kū-e-harīm-e-yār hai ye rahguzar nahīñ

    hosh-o-KHirad ka rah-e-junun mein guzar nahin

    yan ba-KHabar wo hai jise apni KHabar nahin

    kuchh izhdiham jalwa se aata nazar nahin

    wo pas hain ki dur ye tujh ko KHabar nahin

    josh-e-junun-e-ishq ki takmil ke liye

    kya kam hai ye ki aah mein meri asar nahin

    idrak kar liya hai wahan ishq ne tujhe

    ehsas-e-wahm ka bhi jahan par guzar nahin

    shabnam ka jazb chahiye KHurshid ka karam

    parwaz-e-ishq munhasir-e-baal-o-par nahin

    duniya-e-ishq mein dil-e-na-ashna-e-gham

    aisi bhi ek sham hai jis ki sahar nahin

    rag rag dil-e-fasurda ki muddat se sard hai

    ab KHak-dan-e-ishq mein koi sharar nahin

    'wahshi' qadam qadam pe yahan sajda-rez ho

    ku-e-harim-e-yar hai ye rahguzar nahin

    Source:

    Suroor-e-Irfan (Pg. 87)

    • Author: Vahshi Kanpuri
      • Publisher: Jagdeesh Sahaye Hatkari
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now