Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hosh-o-KHirad ke gham se begana ho gaya hun

Mittar Singh Aashna

hosh-o-KHirad ke gham se begana ho gaya hun

Mittar Singh Aashna

MORE BYMittar Singh Aashna

    hosh-o-ḳhirad ke ġham se begāna ho gayā huuñ

    maiñ terī aarzū meñ dīvāna ho gayā huuñ

    ifshā huā hai jab se ulfat raaz merā

    har shaḳhs zabāñ par afsāna ho gayā huuñ

    bhar ke mere dil par jaur-o-sitam karo tum

    maiñ lazzat-e-jafā se an-jānā ho gayā huuñ

    ye bebasī hai merī be-hisī hai merī

    duniyā har ḳhushī se begāna ho gayā huuñ

    raushan hai dil duniyā jis ke jamāl-e-ruḳh se

    us shama-e-ārzū parvāna ho gayā huuñ

    pūchho na mujh se logo rūdād-e-zindagānī

    gulshan thā pyaar ab vīrāna ho gayā huuñ

    tum 'āshnā' ho mujh se tum bhī to kuchh batāo

    har shaḳhs kah rahā hai dīvāna ho gayā huuñ

    hosh-o-KHirad ke gham se begana ho gaya hun

    main teri aarzu mein diwana ho gaya hun

    ifsha hua hai jab se ulfat ka raaz mera

    har shaKHs ki zaban par afsana ho gaya hun

    ji bhar ke mere dil par jaur-o-sitam karo tum

    main lazzat-e-jafa se an-jaana ho gaya hun

    ye bebasi hai meri ya be-hisi hai meri

    duniya ki har KHushi se begana ho gaya hun

    raushan hai dil ki duniya jis ke jamal-e-ruKH se

    us shama-e-arzu ka parwana ho gaya hun

    puchho na mujh se logo rudad-e-zindagani

    gulshan tha pyar ka ab virana ho gaya hun

    tum 'ashna' ho mujh se tum bhi to kuchh batao

    har shaKHs kah raha hai diwana ho gaya hun

    Source:

    Ghazal Aashna (Pg. 51)

    • Author: Mittar Singh Aashna
      • Publisher: Asian Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now