aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hosh-o-KHirad se dur dur wahm-o-guman ke aas-pas

Sabiha Sadaf

hosh-o-KHirad se dur dur wahm-o-guman ke aas-pas

Sabiha Sadaf

MORE BYSabiha Sadaf

    hosh-o-ḳhirad se duur duur vahm-o-gumāñ ke ās-pās

    kartā hai dil tavāf kyoñ dushman-e-jāñ ke ās-pās

    mahv-e-ḳhayāl-e-yār huuñ mujh ko ġharaz kisī se kyā

    rahtā hai ik hisār ab jism-o-jāñ ke ās-pās

    ik shor ḳhāmushī meñ hai ik zindagī hai maut

    dahshat ik hujūm hai amn-o-amāñ ke ās-pās

    gardish-e-māh-o-sāl ne aisā kiyā niDhāl bas

    ghabrā ke uTh ga.e qadam dār-e-amāñ ke ās-pās

    tujh se hamārā kuchh nahīñ rishta to phir batā mujhe

    rahtā hai muqīm kyoñ aivān-e-jāñ ke ās-pās

    ye ishq junūn hai is dard meñ sukūn hai

    pahrā lagā hai dard āh-o-fuġhāñ ke ās-pās

    bas ho nigāh-e-multafit jān-o-jigar bahāl ho

    baiThe haiñ multajī sabhī mahfil-e-jāñ ke ās-pās

    lagtā hai ai 'sadaf' tire ishq ne liyā uruuj

    Thahrā huā hai dil tirā soz-e-nihāñ ke ās-pās

    hosh-o-KHirad se dur dur wahm-o-guman ke aas-pas

    karta hai dil tawaf kyon dushman-e-jaan ke aas-pas

    mahw-e-KHayal-e-yar hun mujh ko gharaz kisi se kya

    rahta hai ek hisar sa ab jism-o-jaan ke aas-pas

    ek shor KHamushi mein hai ek zindagi hai maut si

    dahshat ka ek hujum hai amn-o-aman ke aas-pas

    gardish-e-mah-o-sal ne aisa kiya niDhaal bas

    ghabra ke uTh gae qadam dar-e-aman ke aas-pas

    tujh se hamara kuchh nahin rishta to phir bata mujhe

    rahta hai tu muqim kyon aiwan-e-jaan ke aas-pas

    ye ishq ka junun hai is dard mein sukun hai

    pahra laga hai dard ka aah-o-fughan ke aas-pas

    bas ho nigah-e-multafit jaan-o-jigar bahaal ho

    baiThe hain multaji sabhi mahfil-e-jaan ke aas-pas

    lagta hai ai 'sadaf' tere ishq ne pa liya uruj

    Thahra hua hai dil tera soz-e-nihan ke aas-pas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now