Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hota agar dabiz junun-e-safar ka rang

Kamran Ghani Saba

hota agar dabiz junun-e-safar ka rang

Kamran Ghani Saba

MORE BYKamran Ghani Saba

    hotā agar dabīz junūn-e-safar rañg

    ḳhud utarne lagtā rah-e-pur-ḳhatar rañg

    sūraj ġhurūb hote hue mujh se kah gayā

    kuchh to batā ki kaisā hai ḳhūn-e-jigar rañg

    ai ahliyān-e-amn-o-aḳhūvat maiñ kyā kahūñ

    kis darja surḳh hai tire dīvār-o-dar rañg

    maanā ki lab ḳhamosh the āñkheñ to chup na thiiñ

    sab raaz faash kar gayā terī nazar rañg

    haañ ai amīr-e-shahr zarā aañkh to milā

    tujh ko batā.ūñ kyā hai ruḳh-e-mo'atabar rañg

    maiñ āsmān oḌh ke soyā rahā 'sabā'

    ġhurbat pe merī hañstā rahā shab qamar rañg

    hota agar dabiz junun-e-safar ka rang

    KHud hi utarne lagta rah-e-pur-KHatar ka rang

    suraj ghurub hote hue mujh se kah gaya

    kuchh to bata ki kaisa hai KHun-e-jigar ka rang

    ai ahliyan-e-amn-o-aKHuwat main kya kahun

    kis darja surKH hai tere diwar-o-dar ka rang

    mana ki lab KHamosh the aankhen to chup na thin

    sab raaz fash kar gaya teri nazar ka rang

    han ai amir-e-shahr zara aankh to mila

    tujh ko bataun kya hai ruKH-e-mo'atabar ka rang

    main aasman oDh ke soya raha 'saba'

    ghurbat pe meri hansta raha shab qamar ka rang

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now