hote nahin hain dirham-o-dinar mere pas
hote nahīñ haiñ dirham-o-dīnār mere paas
do chaar baiThte haiñ magar yaar mere paas
maiñ vo banā chukā huuñ jise pūjte haiñ log
is se baḌā ho kyā bhalā shahkār mere paas
vāqif haiñ sang-o-ḳhisht nazariyāt se mire
ugtī nahīñ hai koī bhī dīvār mere paas
mujh ko jo rad kare vo ḳhabar mil nahīñ rahī
rakkhe hue haiñ barsoñ ke aḳhbār mere paas
tarjīh apnī apnī hai tahzīb ik sahī
rasmeñ tumhāre paas haiñ tehvār mere paas
aisā na ho ki ik bhī salāmat na rah sake
apne ḳhudā na laanā ḳhabar-dār mere paas
dushman kī jiit hai yā mirī fat.h hai 'shu'aib'
dastār us ke paas hai pindār mere paas
hote nahin hain dirham-o-dinar mere pas
do chaar baiThte hain magar yar mere pas
main wo bana chuka hun jise pujte hain log
is se baDa ho kya bhala shahkar mere pas
waqif hain sang-o-KHisht nazariyat se mere
ugti nahin hai koi bhi diwar mere pas
mujh ko jo rad kare wo KHabar mil nahin rahi
rakkhe hue hain barson ke aKHbar mere pas
tarjih apni apni hai tahzib ek sahi
rasmen tumhaare pas hain tehwar mere pas
aisa na ho ki ek bhi salamat na rah sake
apne KHuda na lana KHabar-dar mere pas
dushman ki jit hai ya meri fath hai 'shu'aib'
dastar us ke pas hai pindar mere pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.