Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hua hai teri mohabbat ka hausla saqi

Akhtar Orenvi

hua hai teri mohabbat ka hausla saqi

Akhtar Orenvi

MORE BYAkhtar Orenvi

    huā hai terī mohabbat hausla saaqī

    magar garāñ hai qanā.at marhala saaqī

    nazar nazar meñ jagah DhūñDhtā rahā mai-kash

    koī to jāntā rindī martaba saaqī

    balā kashān-e-dar-e-mai-kada kahāñ jaa.eñ

    qadam qadam hai qayāmat fāsla saaqī

    mirī hayāt sab kuchh fazā-e-mai-ḳhāna

    subū-o-jām tirā ek mashġhala saaqī

    ye dasht-e-tishna-labī hai shikasta ḳheme haiñ

    kahāñ gayā mire armāñ qāfila saaqī

    amaañ se duur hai sahrā-e-ārzū tapish

    hayāt-e-soz-e-tamannā aabla saaqī

    hayāt kyā hai mohabbat hai kyuuñ jamāl hai kyā

    na hal huā kabhī 'aḳhtar' mas.ala saaqī

    hua hai teri mohabbat ka hausla saqi

    magar garan hai qanaat ka marhala saqi

    nazar nazar mein jagah DhunDhta raha mai-kash

    koi to jaanta rindi ka martaba saqi

    bala kashan-e-dar-e-mai-kada kahan jaen

    qadam qadam hai qayamat ka fasla saqi

    meri hayat ka sab kuchh faza-e-mai-KHana

    subu-o-jam tera ek mashghala saqi

    ye dasht-e-tishna-labi hai shikasta KHeme hain

    kahan gaya mere arman ka qafila saqi

    aman se dur hai sahra-e-arzu ki tapish

    hayat-e-soz-e-tamanna ka aabla saqi

    hayat kya hai mohabbat hai kyun jamal hai kya

    na hal hua kabhi 'aKHtar' ka masala saqi

    Source:

    Naqeeb-e-Sahar (Pg. e-17 p-16)

      • Publisher: Kul Hind Hindi Urdu Sangam Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now