Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hua jab jalwa-ara aap ka zauq-e-KHud-arai

Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi

hua jab jalwa-ara aap ka zauq-e-KHud-arai

Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi

MORE BYShiv Ratan Lal Barq Punchhwi

    huā jab jalva-ārā aap zauq-e-ḳhud-ārā.ī

    tamāshā rah gayā ban kar jahāñ har tamāshā.ī

    bahāreñ huā kartī haiñ tamhīd-e-ḳhizāñ aksar

    vahāñ barsoñ rahā mātam jahāñ pal bhar ḳhushī aa.ī

    bahar-sūrat qayāmat hai vo aa.eñ chale jaa.eñ

    jo aa.e to sukūñ chhīnā ga.e to jaan taḌpā.ī

    kalī chaTkī na gul mahke na ġhunchoñ par nikhār aayā

    ajab andāz se ab ke gulistāñ meñ bahār aa.ī

    jahāñ mujh ko nazar aayā koī naqsh-e-qadam un

    vahīñ ik dam taḌap uTThā mirā zauq-e-jabīñ-sā.ī

    ye kyā tarz-e-musāvāt-e-jahāñ hai ādil-e-mutlaq

    kahīñ aa.heñ nikaltī haiñ kahīñ bajtī hai shahnā.ī

    mirī ḳhalvat meñ lākhoñ ārzūeñ jalva-farmā haiñ

    kahīñ mahfil se baḌh kar hai mirī ai 'barq' tanhā.ī

    hua jab jalwa-ara aap ka zauq-e-KHud-arai

    tamasha rah gaya ban kar jahan ka har tamashai

    bahaaren hi hua karti hain tamhid-e-KHizan aksar

    wahan barson raha matam jahan pal bhar KHushi aai

    bahar-surat qayamat hai wo aaen ya chale jaen

    jo aae to sukun chhina gae to jaan taDpai

    kali chaTki na gul mahke na ghunchon par nikhaar aaya

    ajab andaz se ab ke gulistan mein bahaar aai

    jahan mujh ko nazar aaya koi naqsh-e-qadam un ka

    wahin ek dam taDap uTTha mera zauq-e-jabin-sai

    ye kya tarz-e-musawat-e-jahan hai aadil-e-mutlaq

    kahin aahen nikalti hain kahin bajti hai shahnai

    meri KHalwat mein lakhon aarzuen jalwa-farma hain

    kahin mahfil se baDh kar hai meri ai 'barq' tanhai

    Source:

    Barq-o-Sharar (Pg. 68)

    • Author: Dr. Barq Poonchvi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Swaraj Publication
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now