Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hua na KHatm azabon ka silsila ab tak

Shakeel Azmi

hua na KHatm azabon ka silsila ab tak

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    huā na ḳhatm azāboñ silsila ab tak

    ḳhizāñ zad meñ bhī ik phuul hai harā ab tak

    milā thā zahr jo virse meñ rahe haiñ ham

    na us ne sulh sochī na maiñ jhukā ab tak

    ye sach hai vahm ke daldal se lauT aayā huuñ

    magar yaqīn dhuñdlā hai aa.ina ab tak

    inhī ġhamoñ vo ik din hisāb māñgegā

    falak se jo mire kashkol meñ paḌā ab tak

    abhī abhī mirī āñkhoñ ne kho diyā us ko

    vo dard ban ke mirī siskiyoñ meñ thā ab tak

    na jaane kitnī balī hai rat-jagoñ use

    magar milā na vo ḳhvāboñ devtā ab tak

    judā huī thī jahāñ mil ke zindagī ik din

    bhaTak rahī hai vahīñ merī aatmā ab tak

    hua na KHatm azabon ka silsila ab tak

    KHizan ki zad mein bhi ek phul hai hara ab tak

    mila tha zahr jo wirse mein pi rahe hain hum

    na us ne sulh ki sochi na main jhuka ab tak

    ye sach hai wahm ke daldal se lauT aaya hun

    magar yaqin ka dhundla hai aaina ab tak

    inhi ghamon ka wo ek din hisab mangega

    falak se jo mere kashkol mein paDa ab tak

    abhi abhi meri aankhon ne kho diya us ko

    wo dard ban ke meri siskiyon mein tha ab tak

    na jaane kitni bali di hai rat-jagon ki use

    magar mila na wo KHwabon ka dewta ab tak

    juda hui thi jahan mil ke zindagi ek din

    bhaTak rahi hai wahin meri aatma ab tak

    Source:

    Dhoop Dariya (Pg. B-99 E-101)

    • Author: Shakeel Azmi
      • Edition: 1986
      • Publisher: Jawaz Publications, Malegaon
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now