Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hudud-e-jaan se aage nikal bhi sakta hai

Fakhar Lala

hudud-e-jaan se aage nikal bhi sakta hai

Fakhar Lala

MORE BYFakhar Lala

    hudūd-e-jān se aage nikal bhī saktā hai

    ye sail-e-ishq hai sab kuchh nigal bhī saktā hai

    makīn-e-arsh sahī māvarā-e-ġham to nahīñ

    ki husn chāñd ik shab meñ Dhal bhī saktā hai

    vo jis pe ghar nahīñ bante kabhī parindoñ ke

    vo peḌ apne saa.e se jal bhī saktā hai

    maiñ jāntā huuñ saḳhāvat vafā ke sahrā

    hamārī eḌī se chashma ubal bhī saktā hai

    gurez-pā na ho ujḌe hue makānoñ se

    khañDar tah se ḳhazāna nikal bhī saktā hai

    ye sarsarī ta'alluq hai mustaqil na samajh

    vo ain vaqt pe rasta badal bhī saktā hai

    do ghaḌī agar saath chal paḌe hamdam

    azāb-e-hijr mire sar se Tal bhī saktā hai

    hudud-e-jaan se aage nikal bhi sakta hai

    ye sail-e-ishq hai sab kuchh nigal bhi sakta hai

    makin-e-arsh sahi mawara-e-gham to nahin

    ki husn chand ka ek shab mein Dhal bhi sakta hai

    wo jis pe ghar nahin bante kabhi parindon ke

    wo peD apne hi sae se jal bhi sakta hai

    main jaanta hun saKHawat wafa ke sahra ki

    hamari eDi se chashma ubal bhi sakta hai

    gurez-pa na ho ujDe hue makanon se

    khanDar ki tah se KHazana nikal bhi sakta hai

    ye sarsari sa ta'alluq hai mustaqil na samajh

    wo ain waqt pe rasta badal bhi sakta hai

    tu do ghaDi hi agar sath chal paDe hamdam

    azab-e-hijr mere sar se Tal bhi sakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now