Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hue hain phir se andheron ke hausle raushan

Navneet Sharma

hue hain phir se andheron ke hausle raushan

Navneet Sharma

MORE BYNavneet Sharma

    hue haiñ phir se añdheroñ ke hausle raushan

    qalam sambhāl añdhere ko jo likhe raushan

    ye sūkhī jhīleñ thiiñ in meñ kahāñ se aa.ī baaḌh

    hamārī āñkhoñ meñ haiñ kis ke tajrabe raushan

    ye aur baat havā ne bujhā diye kaafī

    tumhārī yaad ke lekin haiñ kuchh diye raushan

    tumheñ chamaknā hai to likkho ham ko safhoñ par

    hamāre hone se hote haiñ hāshiye raushan

    udaas shaam hai aur saare bench ḳhālī haiñ

    koī zamāna thā hote the qahqahe raushan

    zarā der ko saaye meñ un ke aayā thā

    yaqīn jaano hue saare zāviye raushan

    mire qarīb koī ḳhvāb kaise aa paatā

    ki mujh meñ rahte haiñ barsoñ se ratjage raushan

    ab un pe dhund qayāmat dhund taarī hai

    tumhāre saath jo hote the marhale raushan

    haqīqatan use dekhā kahāñ hai muddat se

    haiñ jis diid ke ḳhvāboñ meñ vāqiye raushan

    gire jo yaad jacket pe yaad ke phāhe

    añdhere dil meñ hue ḳhuub valvale raushan

    kiyā muaaf jo ik dūsre se duur rahe

    qarīb aa.e, hue saare fāsle raushan

    maiñ tīrgī sahī lekin kabhī kabhī mujh meñ

    huzūr koī to pahlū nikāliye raushan

    hue hain phir se andheron ke hausle raushan

    qalam sambhaal andhere ko jo likhe raushan

    ye sukhi jhilen thin in mein kahan se aai baDh

    hamari aankhon mein hain kis ke tajrabe raushan

    ye aur baat hawa ne bujha diye kafi

    tumhaari yaad ke lekin hain kuchh diye raushan

    tumhein chamakna hai to likkho hum ko safhon par

    hamare hone se hote hain hashiye raushan

    udas sham hai aur sare bench KHali hain

    koi zamana tha hote the qahqahe raushan

    zara si der ko saye mein un ke aaya tha

    yaqin jaano hue sare zawiye raushan

    mere qarib koi KHwab kaise aa pata

    ki mujh mein rahte hain barson se ratjage raushan

    ab un pe dhund qayamat ki dhund tari hai

    tumhaare sath jo hote the marhale raushan

    haqiqatan use dekha kahan hai muddat se

    hain jis ki did ke KHwabon mein waqiye raushan

    gire jo yaad ki jacket pe yaad ke phahe

    andhere dil mein hue KHub walwale raushan

    kiya muaf jo ek dusre se dur rahe

    qarib aae, hue sare fasle raushan

    main tirgi sahi lekin kabhi kabhi mujh mein

    huzur koi to pahlu nikaliye raushan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now