Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hue hum jab se paida apne diwane hue hote

Wali Uzlat

hue hum jab se paida apne diwane hue hote

Wali Uzlat

MORE BYWali Uzlat

    hue ham jab se paidā apne dīvāne hue hote

    ḳhudā ko ham pahuñchte ḳhud se begāne hue hote

    mazā raushan-dillī zindagānī hai tajarrud se

    ham apne misl shabnam aab aur daane hue hote

    muue ham intizār-e-nashsha se ḳhoshoñ ke yārab

    huvaidā taak se pur-bāda paimāne hue hote

    hoveñge ḳhaak vus.at mashrabī rah ga.ī hasrat

    ham avval se misl-e-dasht vīrāne hue hote

    rahe duniyā meñ be-aish aur shuhūd-e-haq se uqbā meñ

    hue zuhhād kor ai kaash ke kaane hue hote

    mai-e-irfāñ zarf aadam ko thā gar malak dete

    to saat iblīs ke sargarm yārāne hue hote

    abas tum munzavī masjid meñ ho zuhhād kyā hāsil

    vo sāhab etakāf-e-kunj-e-maiḳhāne hue hote

    hue mastoñ pe gar teġh-e-zabāñ-zan shaiḳh sheḳhī meñ

    jo apne nafs-parvar hote mardāne hue hote

    agar sad-chāk ho haat us ke lagte aish thā 'uzlat'

    dil-e-ushshāq saare kaash ke shāne hue hote

    hue hum jab se paida apne diwane hue hote

    KHuda ko hum pahunchte KHud se begane hue hote

    maza raushan-dilli ka zindagani hai tajarrud se

    hum apne misl shabnam aab aur dane hue hote

    mue hum intizar-e-nashsha se KHoshon ke ja yarab

    huwaida tak se pur-baada paimane hue hote

    howenge KHak wusat mashrabi ki rah gai hasrat

    hum awwal hi se misl-e-dasht virane hue hote

    rahe duniya mein be-aish aur shuhud-e-haq se uqba mein

    hue zuhhad kor ai kash ke kane hue hote

    mai-e-irfan ka zarf aadam hi ko tha gar malak dete

    to sat iblis ke sargarm yarane hue hote

    abas tum munzawi masjid mein ho zuhhad kya hasil

    wo sahab etakaf-e-kunj-e-maiKHane hue hote

    hue maston pe gar tegh-e-zaban-zan shaiKH sheKHi mein

    jo apne nafs-parwar hote mardane hue hote

    agar sad-chaak ho hat us ke lagte aish tha 'uzlat'

    dil-e-ushshaq sare kash ke shane hue hote

    Source:

    Deewan-e-uzlat(Rekhta Website) (Pg. 131)

    • Author: Syed Saadullah
      • Edition: 1759
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now