Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hue janab mein ab tak na tere hum gustaKH

Mah Laqa Chanda

hue janab mein ab tak na tere hum gustaKH

Mah Laqa Chanda

MORE BYMah Laqa Chanda

    hue janāb meñ ab tak na tere ham gustāḳh

    ḳhudā ke vāste ham se na ho sanam gustāḳh

    chhupāyā rāz-e-mohabbat ko dil meñ par haihāt

    kare hai naam mirā bad ye chashm-e-nam gustāḳh

    jo aave meñ so kah le maiñ huuñ vo ai pyāre

    rahūñ hazār huzūrī meñ par huuñ kam gustāḳh

    kahā gale se lagā le iltifāt nahīñ

    kahe hai tis pe mujhe kyuuñ dam-ba-dam gustāḳh

    yahī umiid hai 'chandā' ko ḳhūb-rūyoñ meñ

    rakhe hamesha terā 'alī karam gustāḳh

    hue janab mein ab tak na tere hum gustaKH

    KHuda ke waste hum se na ho sanam gustaKH

    chhupaya raaz-e-mohabbat ko dil mein par haihat

    kare hai nam mera bad ye chashm-e-nam gustaKH

    jo aawe ji mein so kah le main hun wo ai pyare

    rahun hazar huzuri mein par hun kam gustaKH

    kaha gale se laga le tu iltifat nahin

    kahe hai tis pe mujhe kyun tu dam-ba-dam gustaKH

    yahi umid hai 'chanda' ko KHub-ruyon mein

    rakhe hamesha tera ya 'ali karam gustaKH

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    hue janab mein ab tak na tere hum gustaKH Azra Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now