Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hue jo qatl un ka hai wahi gham-KHwar bolega

Kuldeep Salil

hue jo qatl un ka hai wahi gham-KHwar bolega

Kuldeep Salil

MORE BYKuldeep Salil

    hue jo qatl un hai vahī ġham-ḳhvār bolegā

    maze baat hai qātil jai-jai-kār bolegā

    tabī.at ho ki niyyat ho haqīqat hogī zāhir

    tirī ḳhāmoshiyoñ meñ bhī tirā kirdār bolegā

    sitam-gar ne jo karnā thā kiyā lekin sitam ye hai

    mire dil ko yaqīñ thā ki koī ġham-ḳhvār bolegā

    kahānī zindagī ek dariyā haqīqat hai

    kināre kuchh nahīñ kahte magar majdhār bolegā

    chhupā.e laakh is ko hai aisī raushnī ye to

    tirī āñkhoñ se chamkegī tirā inkār bolegā

    nahīñ boleñge ham lekin hamārī baat bolegī

    jise hai bolne lat vahī har baar bolegā

    patā sab ko hai lāchārī ġharībī muqaddar hai

    savere dekhnā kyā kyā magar aḳhbār bolegā

    hai gul kyā haiñ is ke to Thikāne sau 'salil' sāhab

    kabhī gar aañch aa.ī to chaman ḳhaar bolegā

    hue jo qatl un ka hai wahi gham-KHwar bolega

    maze ki baat hai qatil ki jai-jai-kar bolega

    tabiat ho ki niyyat ho haqiqat hogi zahir hi

    teri KHamoshiyon mein bhi tera kirdar bolega

    sitam-gar ne jo karna tha kiya lekin sitam ye hai

    mere dil ko yaqin tha ki koi gham-KHwar bolega

    kahani zindagi ki ek dariya ki haqiqat hai

    kinare kuchh nahin kahte magar majdhaar bolega

    chhupae lakh tu is ko hai aisi raushni ye to

    teri aankhon se chamkegi tera inkar bolega

    nahin bolenge hum lekin hamari baat bolegi

    jise hai bolne ki lat wahi har bar bolega

    pata sab ko hai lachaari gharibi ka muqaddar hai

    sawere dekhna kya kya magar aKHbar bolega

    hai gul ka kya hain is ke to Thikane sau 'salil' sahab

    kabhi gar aanch aai to chaman ka KHar bolega

    Source:

    Dhoop Ke Saye Mein (Pg. 73)

    • Author: Kuldeep Salil
      • Publisher: Hind Pocket Books, Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now