Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hui dil TuTne par is tarah dil se fughan paida

Fazil Ansari

hui dil TuTne par is tarah dil se fughan paida

Fazil Ansari

MORE BYFazil Ansari

    huī dil TūTne par is tarah dil se fuġhāñ paidā

    ki jaise sham.a ke bujhne se hotā hai dhuāñ paidā

    rahā sābit-qadam yuuñ agar 'azm-e-safar apnā

    karegī ḳhud rah-e-dushvār āsāniyāñ paidā

    har ik tā'mīr ḳhud apnī tabāhī saath laatī hai

    na girtī barq gar hotī na shāḳh-e-āshiyāñ paidā

    mirī ḳhvāhish ki ik sajda miTā de nām-e-peshānī

    tirī ḳhvāhish ho peshānī pe sajdoñ nishāñ paidā

    vo jin maut par rote haiñ barsoñ jām-o-paimāna

    ab aise bāda-kash hote haiñ ai saaqī kahāñ paidā

    zarūrat kyā kareñ ham justajū-e-āstāñ ai dil

    salāmat zauq-e-sajda aap hogā āstāñ paidā

    nazar meñ jin rañgīnī tabī'at meñ hai rā'nā.ī

    vo kar lete haiñ 'fāzil' dasht meñ bhī gulsitāñ paidā

    hui dil TuTne par is tarah dil se fughan paida

    ki jaise shama ke bujhne se hota hai dhuan paida

    raha sabit-qadam yun hi agar 'azm-e-safar apna

    karegi KHud rah-e-dushwar hi aasaniyan paida

    har ek ta'mir KHud apni tabahi sath lati hai

    na girti barq gar hoti na shaKH-e-ashiyan paida

    meri KHwahish ki ek sajda miTa de nam-e-peshani

    teri KHwahish ho peshani pe sajdon ka nishan paida

    wo jin ki maut par rote hain barson jam-o-paimana

    ab aise baada-kash hote hain ai saqi kahan paida

    zarurat kya karen hum justaju-e-astan ai dil

    salamat zauq-e-sajda aap hoga aastan paida

    nazar mein jin ki rangini tabi'at mein hai ra'nai

    wo kar lete hain 'fazil' dasht mein bhi gulsitan paida

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now