Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hujum-e-dard mila imtihan aisa tha

Ghayas Anjum

hujum-e-dard mila imtihan aisa tha

Ghayas Anjum

MORE BYGhayas Anjum

    hujūm-e-dard milā imtihān aisā thā

    magar vo chup rahā be-zabān aisā thā

    kisī izzat-o-nāmūs par na aañch aa.ī

    luTā to uf bhī na mehrbān aisā thā

    zamāna guzrā magar daaġh rah gayā dil par

    na miT sakā kisī sūrat nishān aisā thā

    badan shāḳh se us ke kiran jo lipTī thī

    vo sah sakā na use dhān-pān aisā thā

    matā-e-zīst luTā ga.ī magar us ne

    zarā bhī qadr na bad-gumān aisā thā

    nazar-shanās thā kaisā ki umr bhar 'anjum'

    bhulā sakā na use mehmān aisā thā

    hujum-e-dard mila imtihan aisa tha

    magar wo chup hi raha be-zaban aisa tha

    kisi ki izzat-o-namus par na aanch aai

    luTa to uf bhi na ki mehrban aisa tha

    zamana guzra magar dagh rah gaya dil par

    na miT saka kisi surat nishan aisa tha

    badan ki shaKH se us ke kiran jo lipTi thi

    wo sah saka na use dhan-pan aisa tha

    mata-e-zist luTa di gai magar us ne

    zara bhi qadr na ki bad-guman aisa tha

    nazar-shanas tha kaisa ki umr bhar 'anjum'

    bhula saka na use mehman aisa tha

    Source:

    Saat Suron Ki Mithi Halchal (Pg. B-117 E-118)

    • Author: Ghayas Anjum
      • Edition: 2010
      • Publisher: Gulistan Publications, Kolkata
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now