Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hujum-e-gham-zadgan sabr se mukar nahin jae

Anwar Shamim

hujum-e-gham-zadgan sabr se mukar nahin jae

Anwar Shamim

MORE BYAnwar Shamim

    hujūm-e-ġham-zadgāñ sabr se mukar nahīñ jaa.e

    aur ittihām usī bebasī ke sar nahīñ jaa.e

    nikalne ko hai mahtāb bādaloñ se abhī

    ye intizār isī āsare pe mar nahīñ jaa.e

    bahut zarūrī diyoñ havāoñ se hai bachāo

    ki sāz-bāz-e-havas kuchh kamāl kar nahīñ jaa.e

    maiñ phuul bāñTne niklūñ to Dar bhī saath phire

    lahū se kāsa-e-gul be-qayās bhar nahīñ jaa.e

    ye kyā hai aisā ki sihran saare jism meñ hai

    kueñ meñ aag ke duniyā kahīñ utar nahīñ jaa.e

    milī bhī sā.at-e-qurbat to shāḳh chhū na sake

    fishār-e-ḳhūn badan meñ kahīñ biphar nahīñ jaa.e

    sameTte to haiñ ham laḳht-e-jāñ pe sochte haiñ

    havā-e-tund meñ phir se makāñ bikhar nahīñ jaa.e

    hujum-e-gham-zadgan sabr se mukar nahin jae

    aur ittiham usi bebasi ke sar nahin jae

    nikalne hi ko hai mahtab baadalon se abhi

    ye intizar isi aasare pe mar nahin jae

    bahut zaruri diyon ka hawaon se hai bachao

    ki saz-baz-e-hawas kuchh kamal kar nahin jae

    main phul banTne niklun to Dar bhi sath phire

    lahu se kasa-e-gul be-qayas bhar nahin jae

    ye kya hai aisa ki sihran si sare jism mein hai

    kuen mein aag ke duniya kahin utar nahin jae

    mili bhi saat-e-qurbat to shaKH chhu na sake

    fishaar-e-KHun badan mein kahin biphar nahin jae

    sameTte to hain hum laKHt-e-jaan pe sochte hain

    hawa-e-tund mein phir se makan bikhar nahin jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now