Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hujum-e-yas mein man ki dua milti rahi hai

Safdar Saleem Sial

hujum-e-yas mein man ki dua milti rahi hai

Safdar Saleem Sial

MORE BYSafdar Saleem Sial

    hujūm-e-yās meñ maañ duā miltī rahī hai

    ye daulat zindagī meñ bārhā miltī rahī hai

    kisī kuchh bigāḌā nahīñ ham ne zamāne meñ

    hameñ to ḳhvāb likhne sazā miltī rahī hai

    tire dar tak pahuñchne kabhī naubat nahīñ aa.ī

    ki raste meñ hameñ apnī anā miltī rahī hai

    bachā ke laakh rakkhā ne apne dāman-e-dil ko

    magar zaḳhmoñ ko phir bhī kuchh havā miltī rahī hai

    agar ham ġhaur se dekheñ to ab mahsūs hotā hai

    ki vo ham se yūñhī be-mudda.ā miltī rahī hai

    kahīñ bhī haath phailā.e nahīñ tere sivā ham ne

    hameñ har moḌ par terī atā miltī rahī hai

    hujum-e-yas mein man ki dua milti rahi hai

    ye daulat zindagi mein barha milti rahi hai

    kisi ka kuchh bigaDa hi nahin hum ne zamane mein

    hamein to KHwab likhne ki saza milti rahi hai

    tere dar tak pahunchne ki kabhi naubat nahin aai

    ki raste mein hamein apni ana milti rahi hai

    bacha ke lakh rakkha tu ne apne daman-e-dil ko

    magar zaKHmon ko phir bhi kuchh hawa milti rahi hai

    agar hum ghaur se dekhen to ab mahsus hota hai

    ki wo hum se yunhi be-muddaa milti rahi hai

    kahin bhi hath phailae nahin tere siwa hum ne

    hamein har moD par teri ata milti rahi hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 696)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now