aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hunar diya bhi nahin le liya anguTha bhi

Midhat-ul-Akhtar

hunar diya bhi nahin le liya anguTha bhi

Midhat-ul-Akhtar

MORE BYMidhat-ul-Akhtar

  hunar diyā bhī nahīñ le liyā añgūThā bhī

  baḌe kamāl fankār hai ye duniyā bhī

  hazār ālam-e-hairat karūñ nisār us par

  nazar to aa.e koī chehra ā.īna bhī

  maiñ apnī raah dīvār ḳhud banātā huuñ

  mirā vajūd mujhe iiñT bhī hai gaarā bhī

  bulā rahā huuñ sabhī ko ki mere saath aa.eñ

  na aayā koī to maiñ chal paḌūñgā tanhā bhī

  mirā zamīr mujhe ye yaqīñ dilātā hai

  ki thā zavāl meñ thoḌā qusūr merā bhī

  kisī saath koī umr bhar nahīñ detā

  girāñ-bahā hai rifāqat ek lamha bhī

  hunar diya bhi nahin le liya anguTha bhi

  baDe kamal ki fankar hai ye duniya bhi

  hazar aalam-e-hairat karun nisar us par

  nazar to aae koi chehra aaina sa bhi

  main apni rah ki diwar KHud banata hun

  mera wajud mujhe inT bhi hai gara bhi

  bula raha hun sabhi ko ki mere sath aaen

  na aaya koi to main chal paDunga tanha bhi

  mera zamir mujhe ye yaqin dilata hai

  ki tha zawal mein thoDa qusur mera bhi

  kisi ka sath koi umr bhar nahin deta

  giran-baha hai rifaqat ka ek lamha bhi

  Source:

  Widrabh mein Jadeed Urdu Shairi: Ek Motala (Pg. 25)

   • Publisher: Mohammad Azhar Hayat
   • Year of Publication: 2012
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now